Kar Chuke Barbaad Dil Ko Fikr Kya Anjam Ki
kar chuke barbaad dil ko fikr kya anjam ki
ab hamein de do ye miTTi hai hamare kaam ki
Dub de de baada-e-gul-rang mein zahid agar
dekhiye ranginiyan phir jama-e-ehram ki
aks-e-abru dekhte hain baada-e-sar-josh mein
id hai saqi-paraston mein hilal-e-jam ki
ibtida-e-ishq hai aur bujh raha hai dil mera
ho chali dhimi abhi se lau charagh-e-sham ki
aankh mein aansu hain mathe par araq hai maut ka
le KHabar umr-e-rawan apne chhalakte jam ki
ho gai bazicha-e-atfal be-zauq-o-shuur
shairi jo thi muradif mani-e-ilham ki
puKHtagi samjhe hue hain jo tanasub ko faqat
chahiye islah un ko is KHayal-e-KHam ki
hai ye nazuk fan jo shayan-e-tahi-maghzi nahin
daur-e-majlis mein zarurat kya hai KHali jam ki
hai 'aziz' aaina-e-lafzi muraatun-nazir
husn-e-mani jab nahin phir shairi kis kaam ki
(850) Peoples Rate This