Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1f6296ecf6316966d4c7ca2e2a27c4eb, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Intiha-e-ishq Ho Yun Ishq Mein Kaamil Bano - Aziz Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Intiha-e-ishq Ho Yun Ishq Mein Kaamil Bano

intiha-e-ishq ho yun ishq mein kaamil bano

KHak ho kar bhi nishan-e-sarhad-e-manzil bano

mere shikwon par ye kahna rahm ke qabil bano

muddaa ye hai ki apne haal se ghafil bano

gharq ho kar rol lo moti KHud apne waste

Dub kar ubhro to auron ke liye sahil bano

anjuman kaisi tum apni zat se ho anjuman

gosha-e-KHalwat mein bhi baiTho to ek mahfil bano

husn-e-KHud-bin moajizat-e-ishq ka qail nahin

qatra-ha-e-ashk-e-KHunin jama ho kar dil bano

sath aazadi ke KHud-dari bhi rahna chahiye

bahr-e-be-payan kabhi lab KHushki-e-sahil bano

ilm ka daura lahu ke sath rag rag mein rahe

jauhar-e-qabil agar ho quwwat-e-amil bano

sharm se tum ko simaTna hai to simTo husn se

dil mein ban jao suwaida putliyon mein til bano

rabt-e-baatin kya suno tafsil us ijmal ki

hum sarapa dard hon aur tum sarapa dil bano

jalne walo ta-ba-imkan zabt soz-e-gham karo

aag jab bhaDke charagh-e-sarhad-e-manzil bano

kuchh dinon baiTho sar-e-qabr-e-'aziz'-e-be-nawa

KHanqahon mein bahut dushwar hai kaamil bano

(891) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Intiha-e-ishq Ho Yun Ishq Mein Kaamil Bano In English By Famous Poet Aziz Lakhnavi. Intiha-e-ishq Ho Yun Ishq Mein Kaamil Bano is written by Aziz Lakhnavi. Read famous Poem Intiha-e-ishq Ho Yun Ishq Mein Kaamil Bano for youth and Student by Aziz Lakhnavi. Free Download Intiha-e-ishq Ho Yun Ishq Mein Kaamil Bano in PDF.