Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ffa67ce8c7c59320e516c0757083a965, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ghalat Hai Dil Pe Qabza Kya Karegi Be-KHudi Meri - Aziz Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Ghalat Hai Dil Pe Qabza Kya Karegi Be-KHudi Meri

ghalat hai dil pe qabza kya karegi be-KHudi meri

ye jins-e-mushtarak hai jo kabhi un ki kabhi meri

hijab uThte chale jate hain aur main baDhta jata hun

kahan tak mujh ko le jati hai dekhun be-KHudi meri

tawahhum tha mujhe naqsh-e-dui kis tarah miTta hai

naqab-e-ruKH ulaT kar is ne surat khinch di meri

idhar bhi uD ke aa KHakistar-e-dil muntazir main hun

laga lun tujh ko aankhon se tu hi hai zindagi meri

'aziz' ek din mujhe ye raazdari KHatm kar degi

kisi ne baat idhar ki aur rangat uD gai meri

(878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghalat Hai Dil Pe Qabza Kya Karegi Be-KHudi Meri In English By Famous Poet Aziz Lakhnavi. Ghalat Hai Dil Pe Qabza Kya Karegi Be-KHudi Meri is written by Aziz Lakhnavi. Read famous Poem Ghalat Hai Dil Pe Qabza Kya Karegi Be-KHudi Meri for youth and Student by Aziz Lakhnavi. Free Download Ghalat Hai Dil Pe Qabza Kya Karegi Be-KHudi Meri in PDF.