Dil Hamara Hai Ki Hum Mail-e-fariyaad Nahin
dil hamara hai ki hum mail-e-fariyaad nahin
warna kya zulm nahin kaun si bedad nahin
husn ek shan-e-ilahi hai magar ai be-mehr
bewafai to koi husn-e-KHuda-dad nahin
sar-e-turbat wo KHamoshi pe meri kahte hain
marne wale tujhe paiman-e-wafa yaad nahin
husn-e-arasta qudrat ka atiyya hai magar
kya mera ishq-e-jigar-soz KHuda-dad nahin
lakh paband-e-alaeq na rahe koi yahan
tab-e-warasta magar fikr se aazad nahin
baham aain-e-wafa rasm-e-mohabbat kaisi
waqt ab wo hai ki bandon ko KHuda yaad nahin
chashm-e-maKHmur wo hai kabil-e-gharq-e-mai-e-nab
daftar-e-ishq pe jab tak ki mere sad nahin
puchhte kya ho tabahi ka fasana mujh se
dil-e-barbaad ki surat bhi mujhe yaad nahin
zarre zarre mein hai ek aalam-e-mani pinhan
KHak-e-barbaad ko samjhe ho ki aabaad nahin
aap kahte hain ki hai gor-e-ghariban viran
aisi basti to jahan mein koi aabaad nahin
aansuon ko bhi zara dekh le rone wale
in sitaron mein to duniya koi aabaad nahin
husn-e-KHud main ne kiye aaine ke sau TukDe
ab na kahna ki nigahen sitam-ijad nahin
kab KHayalat pe mumkin hai kisi ka pahra
dil to aazad raha main agar aazad nahin
sina-kawi ke liye shart hai dil ki himmat
naKHun-e-dast-e-junun tesha-e-farhad nahin
be-KHudi manzil-e-irfan hai zara hosh mein aa
hai KHudi ka ye natija ki KHuda yaad nahin
tabqa-e-KHak mein hai aalam-e-KHaosh-abaad
jis ko barbaad samajhte ho wo barbaad nahin
dil-e-viran ki tabahi ki koi had hai 'aziz'
main samajhta hun ki duniya abhi aabaad nahin
(1805) Peoples Rate This