Dil Aaya Is Tarah AaKHir Fareb-e-saz-o-saman Mein
dil aaya is tarah aaKHir fareb-e-saz-o-saman mein
ulajh kar jaise rah jae koi KHwab-e-pareshan mein
ye mana zarre zarre par tumhaari mohr azal se hai
magar kya meri gunjaish nahin shahr-e-KHamoshan mein
pata us ki nigah-e-wahshat-afza ka lagana hai
nigahen wahshiyon ki dekhta phirta hun zindan mein
yahi hai ruh ka jauhar tum aaoge to niklega
dam-e-aKHir ruka hai ek aansu chashm giryan mein
meri jamiyat-e-KHatir ka saman hashr kya karta
qayamat ho gai tartib-e-ajza-e-pareshan mein
farogh-e-lala-o-ghul ka tamasha dekhne wale
ye mere dil ki choTen hain jo ubhri hain gulistan mein
'aziz' aaraish-e-gulshan ki koi intiha bhi hai
wo mahw-e-sair-e-gul hain ya gulistan hai gulistan mein
(772) Peoples Rate This