Dekh Kar Har Dar-o-diwar Ko Hairan Hona
dekh kar har dar-o-diwar ko hairan hona
wo mera pahle-pahal daKHil-e-zindan hona
qabil-e-did hai us ghar ka bhi viran hona
jis ke har gosha mein maKHfi tha bayaban hona
ji na uTThunga hai bekar pasheman hona
jao ab ho chuka jo kuchh tha meri jaan hona
wahima mujh ko dikhata hai junun ke saman
nazar aata hai mujhe ghar ka bayaban hona
uf mere ujDe hue ghar ki tabahi dekho
jis ke har zarre pe chhaya hai bayaban hona
hadse donon ye aalam mein aham guzre hain
hadse donon ye aalam mein aham guzre hain
mera marna teri zulfon ka pareshan hona
al-hazar gor-e-ghariban ki Darauni raaten
aur wo un ke ghane baal pareshan hona
raat-bhar soz-e-mohabbat ne jalaya mujh ko
tha muqaddar mein charagh-e-shab-e-hijran hona
kyun na wahshat mein bhi paband-e-mohabbat rahta
tha bayaban mein mujhe qaidi-e-zindan hona
hoga ek waqt mein ye waqia-e-tariKHi
yaad rakhna mere kashane ka viran hona
kuchh na puchho shab-e-wada mere ghar ki raunaq
allah allah wo saman se saman hona
josh mein le ke ek angDai kisi ka kahna
tum ko aata hi nahin chaak-gareban hona
un ki us koshish-e-be-had ka pata deta hai
chaarasazon ka mere lash pe giryan hona
aalam-e-ishq ki fitrat mein KHalal aata hai
man lun hazrat-e-naseh ka gar insan hona
surKH Dori teri aankhon ki ilahi tauba
chahiye tha inhen paiwast-e-rag-e-jaan hona
ho chalen aap ke bimar ki aankhen be-nur
qahr tha subh ke tare ka numayan hona
main karun zabt idhar un ko pasina aae
chahiye yun gham-e-pinhan ko numayan hona
allah allah ye saliqa tera ai shoala-e-tur
kis tarah tu ne chhupaya hai numayan hona
un se karta hai dam-e-naza wasiyyat ye 'aziz'
KHalq roegi magar tum na pareshan hona
(939) Peoples Rate This