Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_70d14288416d529a746000f873684cb3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chashm-e-saqi Ka Tasawwur Bazm Mein Kaam Aa Gaya - Aziz Lakhnavi Poetry In English - Darsaal

Chashm-e-saqi Ka Tasawwur Bazm Mein Kaam Aa Gaya

chashm-e-saqi ka tasawwur bazm mein kaam aa gaya

bhar gai shishon mein mai gardish mein KHud jam aa gaya

muztarib dil ek tajalli mein faqat kaam aa gaya

ibtida hi mein KHayal-e-ibrat-anjam aa gaya

husn KHud-ara na yun hota hijab-andar-hijab

shan-e-tamkin ko KHayal-e-manzar-e-am aa gaya

husn ne itna taghaful meri hasti se kiya

rafta rafta zindagi ka mujh pe ilzam aa gaya

intizar ab shaq hai ai saqi-e-paiman-shikan

ghir gae baadal surahi aa gai jam aa gaya

hum to samjhe the sukun paenge be-hoshi ke baad

hosh jab aaya to phir lab par tera nam aa gaya

KHak aaKHir ho gaya sab saz-o-saman-e-hayat

kyun dil-e-barbaad-e-hasrat ab to aaram aa gaya

ho gai aasudgi jhagDa chuka rahat mili

na-tawan tha dil nabard-e-ishq mein kaam aa gaya

dil ne ki piri mein paida ghaflat-e-ahd-e-shabab

subh ka bhula jo manzil par sar-e-sham aa gaya

parda-e-duniya mein ab be-sud hain ye koshishen

ai farem-e-ab-o-dana main tah-e-dam aa gaya

rind mustaghni hain duniya se gharaz hum ko 'aziz'

daulat-e-jam mil gai jab hath mein jam aa gaya

(1190) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chashm-e-saqi Ka Tasawwur Bazm Mein Kaam Aa Gaya In English By Famous Poet Aziz Lakhnavi. Chashm-e-saqi Ka Tasawwur Bazm Mein Kaam Aa Gaya is written by Aziz Lakhnavi. Read famous Poem Chashm-e-saqi Ka Tasawwur Bazm Mein Kaam Aa Gaya for youth and Student by Aziz Lakhnavi. Free Download Chashm-e-saqi Ka Tasawwur Bazm Mein Kaam Aa Gaya in PDF.