Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5e718439c6e1e239e6fcbd6c7c4d84f4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
ShoKHi Se Kashmakash Nahin Achchhi Hijab Ki - Aziz Hyderabadi Poetry In English - Darsaal

ShoKHi Se Kashmakash Nahin Achchhi Hijab Ki

shoKHi se kashmakash nahin achchhi hijab ki

khul jaegi girah tere band-e-naqab ki

shishe khule nahin abhi saghar chale nahin

uDne lagi pari ki tarah bu sharab ki

do din ki zindagi pe ilahi ye ghaflaten

aankhen to hain khuli hui haalat hai KHwab ki

hote hi subh-e-wasl ki shab dekhta hun kya

talwar ban gai hai kiran aaftab ki

aata nahin kasi pe dil-e-bad-guman 'aziz'

jamti nahin kasi pe nazar intiKHab ki

(885) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ShoKHi Se Kashmakash Nahin Achchhi Hijab Ki In English By Famous Poet Aziz Hyderabadi. ShoKHi Se Kashmakash Nahin Achchhi Hijab Ki is written by Aziz Hyderabadi. Read famous Poem ShoKHi Se Kashmakash Nahin Achchhi Hijab Ki for youth and Student by Aziz Hyderabadi. Free Download ShoKHi Se Kashmakash Nahin Achchhi Hijab Ki in PDF.