Nara-e-takbir Bhi Zahid Nisar-e-naghma Hai
nara-e-takbir bhi zahid nisar-e-naghma hai
kis qadar allahu-akbar e'tibar-e-naghma hai
kya surili thi sada-e-harf-e-kun roz-e-azal
ab tak rag rag hamari be-qarar-e-naghma hai
andalib-e-KHush-nawa par aankh hai sayyaad ki
nargis-e-shahla sarapa intizar-e-naghma hai
tafraqa ho is tarah to kya jame ishrat ka rang
dil zaif-o-natawan lab zer-e-bar-e-naghma hai
sher do hain hazrat-e-ghaalib ke diwan mein 'aziz'
ye ghazal meri usi mai ka KHumar-e-naghma hai
(1092) Peoples Rate This