Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a59c2a48fafa4922ae414e5578e612b0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dard Jata Nazar Nahin Aata - Aziz Hyderabadi Poetry In English - Darsaal

Dard Jata Nazar Nahin Aata

dard jata nazar nahin aata

haal achchha nazar nahin aata

is KHarabaat mein KHarab na ho

koi aisa nazar nahin aata

tum se kya kya kahun mohabbat mein

mujh ko kya kya nazar nahin aata

wahi andhe hain aql ke jin ko

aib apna nazar nahin aata

dil mein jab tak hai rashk-e-ghair 'aziz'

koi tanha nazar nahin aata

(738) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Dard Jata Nazar Nahin Aata In English By Famous Poet Aziz Hyderabadi. Dard Jata Nazar Nahin Aata is written by Aziz Hyderabadi. Read famous Poem Dard Jata Nazar Nahin Aata for youth and Student by Aziz Hyderabadi. Free Download Dard Jata Nazar Nahin Aata in PDF.