Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bd4774b8c13c023dadffddd6d34eaa0d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zanjir-e-pa Se Aahan-e-shamshir Hai Talab - Aziz Hamid Madni Poetry In English - Darsaal

Zanjir-e-pa Se Aahan-e-shamshir Hai Talab

zanjir-e-pa se aahan-e-shamshir hai talab

shayad teri gali mein na pahunche ye shor ab

aaKHir jhalak uThi wo gareban ke chaak se

jis intizar-e-subh mein guzri thi meri shab

yaad aai dil ko tere dar-e-nim-wa ki raat

rukne lage qadam jo sar-e-rah be-sabab

ye shan-e-dilbari hai ki wo jab bhi mil gaya

paya mizaj-e-dost ko aasuda-e-tarab

is taza-dam hawa mein mere mah-e-nim-mah

us baam se juda na kabhi ho tulu-e-shab

aankhen to khol daur-e-taghayyur hai ham-nashin

kuchh khiDkiyan to khol gai hai hawa-e-shab

chalne ko hai hawa-e-gul-o-lala ki jagah

ek naqb si lagati hui sarsar-e-aqab

aankhon pe ek jadu-e-zulmat sa chha gaya

haul-e-afrin hayyulon ke jumbish mein aae lab

kazib sahafaton ki bujhi rakh ke tale

jhulsa hua milega waraq-dar-waraq adab

duniya badal gai hai hisab aur ho gae

ramz-e-taghayyur-e-ruKH-e-alam hue hain sab

sadiyon mein ja ke banta hai aaKHir mizaj-e-dahr

'madni' koi taghayyur-e-alam hai be-sabab

(1041) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zanjir-e-pa Se Aahan-e-shamshir Hai Talab In English By Famous Poet Aziz Hamid Madni. Zanjir-e-pa Se Aahan-e-shamshir Hai Talab is written by Aziz Hamid Madni. Read famous Poem Zanjir-e-pa Se Aahan-e-shamshir Hai Talab for youth and Student by Aziz Hamid Madni. Free Download Zanjir-e-pa Se Aahan-e-shamshir Hai Talab in PDF.