Ye Faza-e-saz-o-muzrib Ye Hujum-e-taj-e-daran
ye faza-e-saz-o-muzrib ye hujum-e-taj-e-daran
chalo aao hum bhi niklen ba-libas-e-sogwaran
ye fusun-e-ru-e-laila ba-azab-e-jaan-e-majnun
wahi husn-e-dasht-o-dar hai ba-tawaf-e-jaan-nisaran
gham-e-karwan ka aaKHir koi ruKH na us se chhuTa
wo hadis kah gai hai ye hawa-e-rah-guzaran
wo tassub-e-barhaman jo sanam ko Dhaalta hai
ruKH-e-naqsh par bhi aaya ye sipas-e-naqsh-e-karan
ba-KHayal-e-dost aaKHir koi KHwab-e-ham-kinari
koi KHwab-e-ham-kinari shab-e-KHwab-e-be-qararan
sar-e-kisht-e-ghair kya kya ye ghaTa baras rahi hai
koi hum se aa ke puchhe asar-e-dua-e-baran
wo shikast-e-KHwab-e-mahfil wo hawa ke chaar jhonke
lagi dil pe tir ban kar dam-e-subh yaad-e-yaran
(1400) Peoples Rate This