Wo Saat Surat-e-chaqmaq Jis Se Lau Nikalti Hai
wo saat surat-e-chaqmaq jis se lau nikalti hai
talash-e-admi ke zawiye kya kya badalti hai
kabhi ek lau se shashdar hai kabhi ek zau se hairan hai
zamin kis inkishaf-e-nar se yarab pighalti hai
taghayyur ki sadi hai aatishin KHwabon ki paikaren
rasad-gahon ke aainon mein ek tabir Dhalti hai
nazar ko ek ufuq taza-e-ruKHi se teri milta hai
wafa us fasle ka raaz pa kar KHud sambhalti hai
nigah-e-naz sab ramz-e-mohabbat kah gai aaKHir
KHirad ki parda-dari kya kaf-e-afsos malti hai
lahu mein aap jal uThti hai koi sham-e-KHalwat si
visal-andaz us ke KHwab mein jab raat Dhalti hai
riwayat ki qanaten jis hawa se jalne wali hain
sawad-e-asia mein wo hawa ab tez chalti hai
waraq ek dhund ka taza taghayyur jab ulaTta hai
tarashida ruKH-e-almas si ek lau nikalti hai
(792) Peoples Rate This