Wahi Dagh-e-lala Ki Baat Hai Ki Ba-nam-e-husn Udhar Gai
wahi dagh-e-lala ki baat hai ki ba-nam-e-husn udhar gai
koi kya kahe ki kahan kahan tere KHal-e-ruKH ki KHabar gai
koi hath dashna-e-jaan-sitan koi hath marham-e-parniyan
ye to hath hath ki baat hai koi waqt pa ke sanwar gai
wahi ek sud o ziyan ka gham jo mizaj-e-ishq se dur tha
wo teri zaban pe bhi aa gaya to lagan hi ji ki bikhar gai
kisi ek silsila-e-wafa ki mataa zulf-e-dota nahin
koi pech-o-tab-e-hawa mile ki wo zulf ta-ba-kamar gai
ye shikayat-e-dar-o-baam kya ye rabaat-e-kohna ki raat kya
koi be-charagh shab-e-wafa tere shahr mein bhi guzar gai
isi zindagi ke hazar ufuq isi zindagi ke hazar ruKH
isi ek KHayal ki rau thi wo jo teri jabin pe bikhar gai
wo hazar shauq ki laghzishen magar ek lazzat-e-narasi
meri aashna-e-tarab nazar tere ruKH pe aa ke Thahar gai
kabhi aatish-e-KHas-o-KHar se bhi gulon ko zauq-e-numu mila
kabhi shaKH-e-gul se lahak uThi wo sinan jo ta-ba-jigar gai
wo zaban-e-sarmad-e-be-dalil wo KHarash-e-KHanjar-e-hukmaran
koi imtihan-e-dalil kya ki dilon mein baat utar gai
wo gharib-e-shahr kahe bhi kya jo teri zaban se hai be-KHabar
magar ek rah-e-suKHan bhi hai ki ye zindagi hai jidhar gai
(990) Peoples Rate This