TalKH-tar Aur Zara Baada-e-safi Saqi
talKH-tar aur zara baada-e-safi saqi
mere sine mein KHas-o-KHar hain kafi saqi
zulmat o nur ko pyalon mein samo deti hai
sham paDte hi teri chashm-e-ghilafi saqi
zahr ka jam hi de zahr bhi hai aab-e-hayat
KHushk-sali ki to ho jae talafi saqi
nashsha-e-mai se zara zaKHm ke Tanke TuTe
ta-abad silsila-e-sina-shigafi saqi
zindagani ka maraz kam nahin hone pata
ye maraz kam na ho allah hai shafi saqi
kaT di gardish-e-ayyam ki zanjir us ne
kaun hai gardish-e-mina ke munafi saqi
ek kaf-e-ju hai mata-e-KHirad o sikka-e-hosh
jam-e-mai de ki ye aalam hai izafi saqi
(801) Peoples Rate This