Surat-e-zanjir Mauj-e-KHun Mein Ek Aahang Hai
surat-e-zanjir mauj-e-KHun mein ek aahang hai
aagahi ki had pe ek KHwab-e-junun ki jang hai
jaane kin chehron ki lau thi jaane kis manzar ki aag
nind ka resham dhuan hai KHwab shoala-rang hai
ek junun-KHane mein KHud ko DhunDhta hai aadmi
KHud-tawafi mein bhi KHud se sainkaDon farsang hai
kirm-KHurda kashtiyan binai ki hain tah-nashin
nam hawa se ustaKHwanon mein utarta rang hai
aag ko gulzar kar de us dua ka waqt hai
warna KHu-e-adamiyat aadmi par tang hai
bu-e-gul ruKHsat hui shayad ye ho KHatm-e-bahaar
TuTti lai mein bikharti saut-e-shab-ahang hai
ek markaz par ziden yakja hain aur gardish mein hain
ye zamane ka taghayyur aalam-e-nairang hai
(835) Peoples Rate This