Salib O Dar Ke Qisse Raqam Hote Hi Rahte Hain
salib o dar ke qisse raqam hote hi rahte hain
qalam ki jumbihson par sar qalam hote hi rahte hain
ye shaKH-e-gul hai aain-e-numu se aap waqif hain
samajhti hai ki mausam ke sitam hote hi rahte hain
kabhi teri kabhi dast-e-junun ki baat chalti hai
ye afsane to zulf-e-KHam-ba-KHam hote hi rahte hain
tawajjoh un ki ab ai sakinan-e-shahr tum par hai
hum aison par bahut un ke karam hote hi rahte hain
tere band-e-qaba se rishta-e-anfas-e-dauran tak
kuchh uqde naKHunon ko bhi baham hote hi rahte hain
hujum-e-lala-o-nasrin ho ya lab-ha-e-shirin hon
meri mauj-e-nafas se taza-dam hote hi rahte hain
mera chaak-e-gireban chaak-e-dil se milne wala hai
magar ye hadse bhi besh o kam hote hi rahte hain
(815) Peoples Rate This