Sab Pech-o-tab-e-shauq Ke Tufan Tham Gae
sab pech-o-tab-e-shauq ke tufan tham gae
wo zulf khul gai to hawaon ke KHam gae
sari faza thi wadi-e-majnun ki KHwab-nak
jo rushanas-e-marg-e-mohabbat the kam gae
wahshat si ek lala-e-KHunin kafan se thi
ab ke bahaar aai to samjho ki hum gae
ab jin ke gham ka tera tabassum hai parda-dar
aaKHir wo kaun the ki ba-mizhgan-e-nam gae
ai jada-e-KHiram-e-mah-o-mahr dekhna
teri taraf bhi aaj hawa ke qadam gae
main aur tere band-e-qaba ki hadis-e-ishq
na-dida KHwab-e-ishq kai be-raqam gae
aisi koi KHabar to nahin sakinan-e-shahr
dariya mohabbaton ke jo bahte the tham gae
(906) Peoples Rate This