Narmi Hawa Ki Mauj-e-tarab-KHez Abhi Se Hai
narmi hawa ki mauj-e-tarab-KHez abhi se hai
ai ham-safir aatish-e-gul tez abhi se hai
ek taza-tar sawad-e-mohabbat mein le chali
wo bu-e-pairahan ki junun-KHez abhi se hai
ek KHwab-e-tairan-e-bahaaran hai us ki aankh
tabir-e-abr-o-baad se labrez abhi se hai
shab-tab abhi se us ki qabaon ke rang hain
ek dastan jabin-e-guhar-rez abhi se hai
guzri hai ek rau mizha-e-KHwab-nak ki
dil mein lahu ka rang bahut tez abhi se hai
aaina le ke kho gai umr-e-nawa-KHiram
taza-e-ruKHi ka moD bala-KHez abhi se hai
mubham se ek KHwab ki tabir ka hai shauq
nindon mein baadalon ka safar tez abhi se hai
ek taza mohr-e-lab se junun mangta hai naqsh
jumbish labon ki silsila-amez abhi se hai
shayad ki mahramana bhi uTThe teri nigah
waise teri nigah dil-awez abhi se hai
(709) Peoples Rate This