Na Fasle Koi Nikle Na Qurbaten Niklin
na fasle koi nikle na qurbaten niklin
wafa ke nam se kya kya siyasaten niklin
khuli hai wahshat-e-alam pe aaj kakul-e-yar
kuchh aur daur-e-KHirad teri nisbaten niklin
hazar hathon ke paiman-e-nau ka markaz hai
hawa ke hath mein na-did taqaten niklin
sipah-e-ishq jahan KHandaqon mein jalti thi
wo moD kaT ke aaKHir mohabbaten niklin
faza-e-taza-nafas dilbari ki aai hai
nai nai gham-e-dil ki masafaten niklin
sharar-e-mahr-o-nam-e-abr ke taghayyur tak
visal-e-dost mein kya kya nazakaten niklin
wahi ki rashk-e-raqiban se tira-tar hai jo zulf
kal ittifaq se us ki hikayaten niklin
wo harf-e-shak hai ki ahl-e-yaqin nahin samjhe
dimagh-e-kufr se kya kya haqiqaten niklin
kamand-e-sariq o mar-e-siyah mein aaKHir
ye kis ka hath tha ye kis ki hikmaten niklin
visal-o-hijr se kya ishq se sambhal na sakin
teri nigah mein aisi nadamaten niklin
nigar-KHane ke naqsh-o-nigar kuchh bhi na the
junun ki aankh mein ghaltida suraten niklin
(1164) Peoples Rate This