Likhi Hui Jo Tabahi Hai Us Se Kya Jata
likhi hui jo tabahi hai us se kya jata
hawa ke ruKH pe magar kuchh to naKHuda jata
jo baat dil mein thi us se nahin kahi hum ne
wafa ke nam se wo bhi fareb kha jata
kashid-e-mai pe hai kaisa fasad hakim-e-shahr
teri girah se hai kya banda-e-KHuda jata
KHuda ka shukr hai tu ne bhi man li meri baat
rafu purane dukhon par nahin kiya jata
misal-e-barq jo KHwab-e-junun mein chamki thi
us aagahi ke taaqub mein hun chala jata
libas-e-taza ke KHwahan hue hain zarra o sang
ek aaina hai koi dur se dikha jata
ajab tamasha-e-sahra hai chaak-e-mahmil par
ghubar-e-qais hai parda koi gira jata
jo aag bujh na sakegi usi ke daman mein
har ek shahr hai ijad ka basa jata
(929) Peoples Rate This