KHatm Hui Shab-e-wafa KHwab Ke Silsile Gae
KHatm hui shab-e-wafa KHwab ke silsile gae
jis dar-e-nim-baz ke pesh the marhale gae
jo rag-e-abr-o-baad se ta-ba-rag-e-junun rahen
ishq ki wo hikayaten husn ke wo gile gae
shukr-o-sipas ka maza de hi gaya sukut-e-yar
wasl-o-firaq se alag dard ke hausle gae
ek mere ham-kanar ki mujh se qarib aa ke raat
KHema-e-dard ho gai qurb ke walwale gae
dasht mein qaht-e-ab se hijrat-e-tairan ke baad
sair-pasand-o-tar-nafas abr ke qafile gae
ai ye fasun-e-dilbari taza-ruKH-o-siyah-chashm
manzil-e-qurb bhi gai tujh se na fasle gae
nind mein mahwashan-e-shahr bosa-e-ashiqan ki KHair
shab-ba-hawa-e-narm-sair subh hui sile gae
ai ruKH-e-taza-jahan raat to ab bhi hai garan
sham-e-hazar-rang tak yun tere silsile gae
daman-e-dil ki oT se ek shab-e-firaq kya
daur-e-taghayyur-e-jahan sab tere qafile gae
(761) Peoples Rate This