Ji-daro! DozaKH Ki Hawa Mein Kis Ki Mohabbat Jalti Hai
ji-daro! dozaKH ki hawa mein kis ki mohabbat jalti hai
tez dahakti aag zamin par KHandaq KHandaq chalti hai
aasebi si shamen le kar sayyaron mein ghum gai
koi hawa aisi hai ki duniya nind mein uTh kar chalti hai
kohsaron ki barf pighal kar dariyaon mein ja nikli
kuchh to pas-e-ab-e-rawan kar nabz-e-junun kya chalti hai
raat ki raat Thaharne wale waqt-e-KHush ki baat samajh
subh to ek darwaza-e-gham par duniya aankhen malti hai
KHush-bu shahr-e-badi ka jadu ek hadis-e-tilism hui
hauz mein khilta gul-e-bakauli KHush-bu is mein palti hai
qindil-e-rahib ka jadu aasebi taron ke moD
kaT ke waqt ki ek parchhain KHwab-numa si chalti hai
shams o qamar ki KHakistar mein ruh thi ek aaraish ki
duniya bich mein ja ke khaDi hai aur libas badalti hai
KHakistar dil ki thi aaKHir milti rakh mein taron ki
aatish-e-mahr sa jast sa karti bujhte bujhte jalti hai
mutrib-e-KHush-awaz hui hai zaKHm-awar aahang-e-bala
wo jo mere hisse ki lai thi tere gale mein Dhalti hai
(903) Peoples Rate This