Ji Hai Bahut Udas Tabiat Hazin Bahut

ji hai bahut udas tabiat hazin bahut

saqi ko pyala-e-mai-e-atishin bahut

do gaz zamin fareb-e-watan ke liye mili

waise to aasman bhi bahut hain zamin bahut

aisi bhi is hawa mein hai ek kafiri ki rau

bujh bujh gae hain shola-e-iman-o-din bahut

be-bakiyon mein fard bahut thi wo chashm-e-naz

dil ki harif ho ke uThi sharm-gin bahut

paikar-e-KHair-o-shar se guzar aai zindagi

teri wafa ka daur tha ahd-afrin bahut

fariyaad thi chakida-e-KHun-e-gulu tamam

naghma bhi ham-safir tha kar-e-hazin bahut

ai dil tujhi pe KHatm nahin dastan-e-ishq

afsana-KHwan mile mizha o aastin bahut

aisi hawa mein ghar se nikalne ki ja na thi

warna tamam baat ka aata yaqin bahut

ai inqalab-e-rang tabiat sambhaalna

hum bhi uThe hain bazm se ab ke hazin bahut

(1192) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ji Hai Bahut Udas Tabiat Hazin Bahut In English By Famous Poet Aziz Hamid Madni. Ji Hai Bahut Udas Tabiat Hazin Bahut is written by Aziz Hamid Madni. Read famous Poem Ji Hai Bahut Udas Tabiat Hazin Bahut for youth and Student by Aziz Hamid Madni. Free Download Ji Hai Bahut Udas Tabiat Hazin Bahut in PDF.