Is Guftugu Se Yun To Koi Muddaa Nahin
is guftugu se yun to koi muddaa nahin
dil ke siwa harif koi dusra nahin
aanhken taras gain tumhein dekhe hue magar
ghar qabil-e-ziyafat-e-mehman raha nahin
naqus koi bahr ki tah mein hai nara-zan
sahil ki ye sada to koi naKHuda nahin
mana ki zindagi mein hai zid ka bhi ek maqam
tum aadmi ho baat to sun lo KHuda nahin
lutf-e-suKHan yahi tha ki KHud tum bhi kuchh kaho
ye wahm hai ki ab koi gosh-e-wafa nahin
meri wafa barae wafa ittifaq thi
mere siwa kisi pe ye afsun chala nahin
us ki nazar taghayyur-e-haalat par gai
koi mizaj-dan-e-mohabbat mila nahin
(979) Peoples Rate This