Hazar Waqt Ke Partaw-nazar Mein Hote Hain

hazar waqt ke partaw-nazar mein hote hain

hum ek halqa-e-wahshat-asar mein hote hain

kabhi kabhi nigah-e-ashna ke afsane

usi hadis-e-sar-e-rahguzar mein hote hain

wahi hain aaj bhi us jism-e-naznin ke KHutut

jo shaKH-e-gul mein jo mauj-e-guhar mein hote hain

khula ye dil pe ki tamir-e-baam-o-dar hai fareb

bagule qalib-e-diwar-o-dar mein hote hain

guzar raha hai tu aankhen chura ke yun na guzar

ghalat-bayan bhi bahut rah-guzar mein hote hain

qafas wahi hai jahan ranj-e-nau-ba-nau ai dost

nigah-dari ehsas par mein hote hain

sirisht-e-gul hi mein pinhan hain sare naqsh-o-nigar

hunar yahi to kaf-e-kuza-gar mein hote hain

Tilism-e-KHwab-e-zuleKHa o dam-e-barda-farosh

hazar tarah ke qisse safar mein hote hain

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hazar Waqt Ke Partaw-nazar Mein Hote Hain In English By Famous Poet Aziz Hamid Madni. Hazar Waqt Ke Partaw-nazar Mein Hote Hain is written by Aziz Hamid Madni. Read famous Poem Hazar Waqt Ke Partaw-nazar Mein Hote Hain for youth and Student by Aziz Hamid Madni. Free Download Hazar Waqt Ke Partaw-nazar Mein Hote Hain in PDF.