Hawa Aashufta-tar Rakhti Hai Hum Aashufta-haalon Ko
hawa aashufta-tar rakhti hai hum aashufta-haalon ko
baratna chahti hai dasht-e-majnun ke hawalon ko
na aaya kuchh magar hum kushtagan-e-shauq ko aaya
hawa ki zad mein aaKHir be-sipar rakhna KHayalon ko
KHuda rakkhe tujhe ai naqsh-e-diwar-e-sanam-KHana
kahenge log diwar-e-abad teri misalon ko
andheri raat mein ek dasht-e-wahshat zindagi nikli
chala jata hun daman-e-nazar deta ujalon ko
bujha jata hai dil sa ek lal-e-shab charagh aaKHir
kahan le jaun us ke sath ke sahib-jamalon ko
khaDi hai taj pahne shahr mein KHar-e-mughilan ka
jawab-e-taza dene zindagi kohna sawalon ko
KHayaban KHandaqon mein khul gae wo mauj-e-KHun guzri
hawa-e-zaKHma-war ne saz samjha hai nihaalon ko
nikalne hi na pae halqa-e-dasht-e-tamanna se
mili thi gardish-e-parkar aisi kuchh ghazalon ko
subu mein maujzan aab-e-zamir-e-mai-gusaran hai
tulu-e-subh tak raushan rakkhenge hum piyalon ko
kabud o surKH mein thi nek o bad mein dagh o darman mein
hawa sayyah thi dekh aai sab gham ke shiwalon ko
taghayyur ki zamin par aadmi ka tez-rau partaw
gaya hai surat-e-mishal liye aainda salon ko
(697) Peoples Rate This