Haram Ka Aaina Barson Se Dhundla Bhi Hai Hairan Bhi
haram ka aaina barson se dhundla bhi hai hairan bhi
ek afsun-e-barahman hai ki paida bhi hai pinhan bhi
na ja ai naKHuda dariya ki aahista-KHirami par
isi dariya mein KHwabida hai mauj-e-tund jaulan bhi
kamal-e-jaan-nisari ho gai hai KHak parwana
use iksir bhi kahte hain aur KHak-e-pareshan bhi
wida-e-shab bhi hai aur shama par ek bankpan bhi hai
hadis-e-shauq bhi hai qissa-e-umr-e-gurezan bhi
na aai yaad teri ye bhi mausam ka taghayyur tha
ye kusht-e-shauq thi parwarda-ha-e-baad-o-baran bhi
ye duniya hai to kya ai ham-nafas tafsir-e-gham kije
wahi aadab-e-mahfil bhi wahi aadab-e-zindan bhi
shua-e-mehr hai ya iltizam-e-zaKHm-o-marham hai
ye dagh-e-lala bhi hai shola-e-lal-e-badaKHshan bhi
(989) Peoples Rate This