Ghalat-bayan Ye Faza Mahr O Kin Darogh Darogh
ghalat-bayan ye faza mahr o kin darogh darogh
sharab lao gham-e-kufr-o-din darogh darogh
hazar naKHl-e-guman hain abhi numud-asar
azal ke din se hai kisht-e-yaqin darogh darogh
hadis-e-rashk-e-raqiban hui hai jis ki nazar
main aur us ki lagan ham-nashin darogh darogh
KHud apni masti-e-pinhan se hath aata hai
shikar-e-nafa-e-ahu-e-chin darogh darogh
main aur shikwa-e-sarai-e-zaKHm-e-be-sababi
tu aur dashna tah-e-astin darogh darogh
zarur koi nazar hai harif-e-KHud-nigari
wo aur bazm mein chin-bar-jabin darogh darogh
malul kuchh gham-e-baalidgi se hai warna
sirisht-e-gul ko malal-e-zamin darogh darogh
sadaen din tujhe KHalq-e-KHuda ne maqtal se
teri gali mein KHabar tak nahin darogh darogh
(645) Peoples Rate This