Firaq Se Bhi Gae Hum Visal Se Bhi Gae
firaq se bhi gae hum visal se bhi gae
subuk hue hain to aish-e-malal se bhi gae
jo but-kade mein the wo sahiban-e-kashf-o-kamal
haram mein aae to kashf-o-kamal se bhi gae
usi nigah ki narmi se Dagmagae qadam
usi nigah ke tewar sambhaal se bhi gae
gham-e-hayat o gham-e-dost ki kashakash mein
hum aise log to ranj-o-malal se bhi gae
gul o samar ka to rona alag raha lekin
ye gham ki farq-e-haram-o-halal se bhi gae
wo log jin se teri bazm mein the hangame
gae to kya teri bazm-e-KHayal se bhi gae
hum aise kaun the lekin qafas ki ye duniya
ki par-shikaston mein apni misal se bhi gae
charagh-e-bazm abhi jaan-e-anjuman na bujha
ki ye bujha to tere KHatt-o-KHal se bhi gae
(808) Peoples Rate This