Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ca33a71f0fe8fea7a20e46d0e4abdc82, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek-adh Harif-e-gham-e-duniya Bhi Nahin Tha - Aziz Hamid Madni Poetry In English - Darsaal

Ek-adh Harif-e-gham-e-duniya Bhi Nahin Tha

ek-adh harif-e-gham-e-duniya bhi nahin tha

arbab-e-wafa mein koi itna bhi nahin tha

lab jalte hain mai-KHwaron ke sine nahin jalte

is darja KHunuk shoala-e-mina bhi nahin tha

ek us ka taghaful hai wo yaad aa hi gaya hai

ek wada-e-farda hai wo bhula bhi nahin tha

kah sakte to ahwal-e-jahan tum se hi kahte

tum se to kisi baat ka parda bhi nahin tha

ab husn pe KHud us ka tasawwur bhi giran hai

pahle to giran KHwab-e-zuleKHa bhi nahin tha

pahle meri wahshat ke ye andaz bhi kam the

pahle mujhe andaza-e-sahra bhi nahin tha

ab ye hai ki thamta hua dariya hai teri yaad

be-faiz ye dariya kabhi aisa bhi nahin tha

achchha to murawwat hi tera bosa-e-lab hai

achchha ye koi dil ka taqaza bhi nahin tha

majnun ke siwa kis se uThi minnat-e-didar

aaKHir ruKH-e-laila tha tamasha bhi nahin tha

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek-adh Harif-e-gham-e-duniya Bhi Nahin Tha In English By Famous Poet Aziz Hamid Madni. Ek-adh Harif-e-gham-e-duniya Bhi Nahin Tha is written by Aziz Hamid Madni. Read famous Poem Ek-adh Harif-e-gham-e-duniya Bhi Nahin Tha for youth and Student by Aziz Hamid Madni. Free Download Ek-adh Harif-e-gham-e-duniya Bhi Nahin Tha in PDF.