Ek KHwab-e-atishin Ka Wo Mahram Sa Rah Gaya
ek KHwab-e-atishin ka wo mahram sa rah gaya
diwar-o-dar mein shoala-e-barham sa rah gaya
sher-e-watan ke pyale pe thin kal ziyafaten
aaya jo ta-ba-lab to faqat sam sa rah gaya
mana wafa barae-wafa ittifaq thi
tum sa raha koi na koi hum sa rah gaya
ek la-talluqi ki faza darmiyan rahi
jab do dilon mein farq bahut kam sa rah gaya
us sarw-qad ki tab-o-mulaem-ruKHi ka raaz
isyan ki shab mein dida-e-pur-nam sa rah gaya
aaKHir hui bahaar magar rang-e-gul ka KHwab
dil mein dua nigah mein shabnam sa rah gaya
ek us ke rang-e-ruKH ki junun-saz chhuT se
is zindagi mein KHwab ka aalam sa rah gaya
(1963) Peoples Rate This