Ai Shahr-e-KHirad Ki Taza Hawa Wahshat Ka Koi Inam Chale

ai shahr-e-KHirad ki taza hawa wahshat ka koi inam chale

kuchh harf-e-malamat aur chalen kuchh wird-e-zaban dushnam chale

ek garmi-e-jast-e-farasat hai ek wahshat-e-pa-e-mohabbat hai

jis panw ki taqat ji mein ho wo sath mere do-gam chale

aaise gham-e-tufan mein akasr ek zid ko ek zid kaT gai

shayad ki nahang-asar hawa kuchh ab ke harif-e-dam chale

jo baat sukut-e-lab tak hai us se na ulajh ai jazba-e-dil

kuchh arz-e-hunar ki lag rahe kuchh mere junun ka kaam chale

ai wadi-e-gham ye mauj-e-hawa ek saz-e-rah-e-saparan hai

rukti hui rau KHwabon ki koi ya subh chale ya sham chale

tujh ko to hawaon ki zad mein kuchh raat gae tak jalna hai

ek hum ki tere jalte jalte basti se charagh-e-sham chale

jo naqsh-e-kitab-e-shatir hai us chaal se aaKHir kya chaliye

khele to zara dushwar chale haare bhi to kuchh din nam chale

kya nam bataen hum us ka namon ki bahut ruswai hai

kuchh ab ke bahaar-e-taza-nafas ek daur-e-wafa be-nam chale

ye aap kahan 'madni'-sahib kuchh KHair to hai mai-KHana hai

kya koi kitab-e-mai dekhi do ek to daur-e-jam chale

(852) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Shahr-e-KHirad Ki Taza Hawa Wahshat Ka Koi Inam Chale In English By Famous Poet Aziz Hamid Madni. Ai Shahr-e-KHirad Ki Taza Hawa Wahshat Ka Koi Inam Chale is written by Aziz Hamid Madni. Read famous Poem Ai Shahr-e-KHirad Ki Taza Hawa Wahshat Ka Koi Inam Chale for youth and Student by Aziz Hamid Madni. Free Download Ai Shahr-e-KHirad Ki Taza Hawa Wahshat Ka Koi Inam Chale in PDF.