Aaj Muqabla Hai SaKHt Mir-e-sipah Ke Liye
aaj muqabla hai saKHt mir-e-sipah ke liye
ho gae sar kai qalam ek kulah ke liye
taza-ruKHi-e-kaenat DhunD rahi hai aaina
justuju hai hazar mein ek gawah ke liye
khul hi gaya tilism-e-dost ain visal mein ki thi
ek shab-e-hijr zindagi lazzat-e-ah ke liye
ek shab-e-KHud-numai mein ismat-e-be-maqam ne
kitne sawal kar liye ramz-e-gunah ke liye
surat-e-gard karwan hai gham-e-manzil-e-jahan
KHwab-e-junun-e-taza-kar chahiye rah ke liye
aatish-e-kimiya-giran kaam na aa saki koi
surma hai KHak-e-dil meri chashm-e-siyah ke liye
meri KHud-agahi bhi ki tere visal ne talab
hijr-e-hazar-shab ke baad ek gunah ke liye
(686) Peoples Rate This