Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_23028b45b5cba8fb0fd3b2181a640d5c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo Ye Kah Kah Ke Jalata Tha Hamesha Mujhko - Aziz Bano Darab Wafa Poetry In English - Darsaal

Wo Ye Kah Kah Ke Jalata Tha Hamesha Mujhko

wo ye kah kah ke jalata tha hamesha mujh ko

aur DhunDega kahin mere alawa mujh ko

kis qadar us ko sarabon ne sataya hoga

dur hi se jo samajhta raha chashma mujh ko

meri ummid ke suraj ko Dubo ke har sham

wo dikhata raha dariya ka tamasha mujh ko

jab kisi raat kabhi baiTh ke mai-KHane mein

KHud ko banTega to dega mera hissa mujh ko

phir saja dega wo yaadon ke ajaib-ghar mein

soch kar ahd-e-junun ka koi sikka mujh ko

mere ehsas ke dozaKH mein sulagne ke liye

chhoD dega mere KHwabon ka farishta mujh ko

phir ye hoga ki kisi din kahin kho jaega

ek dorahe pe biTha ke mera rasta mujh ko

log kahte hain ki jadu ki saDak hai mazi

muD ke dekhungi to ho jaega sakta mujh ko

sabz mausam ki inayat ka bharosa bhi nahin

kab uDa de ye hawa jaan ke patta mujh ko

waqt hakim hai kisi roz dila hi dega

dil ke sailab-zada shahr pe qabza mujh ko

main na laila hun na rakhta hai wo majnun ka mizaj

us ne chaha hai magar mere alawa mujh ko

(1044) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Ye Kah Kah Ke Jalata Tha Hamesha Mujhko In English By Famous Poet Aziz Bano Darab Wafa. Wo Ye Kah Kah Ke Jalata Tha Hamesha Mujhko is written by Aziz Bano Darab Wafa. Read famous Poem Wo Ye Kah Kah Ke Jalata Tha Hamesha Mujhko for youth and Student by Aziz Bano Darab Wafa. Free Download Wo Ye Kah Kah Ke Jalata Tha Hamesha Mujhko in PDF.