Tu Aaya To Dwar BhiDe The Dip Bujha Tha Aangan Ka
tu aaya to dwar bhiDe the dip bujha tha aangan ka
sudh bisrane wale mujh ko hosh kahan tha tan man ka
jaane kin zulfon ki ghaTaen chhai hain meri nazron mein
rote rote bhig chala is sal bhi aanchal sawan ka
thoDi der mein thak jaenge nil-kamal si rain ke panw
thoDi der mein tham jaega rag nadi ke jhanjhan ka
phir bhi meri banhon ki KHushbu har Dal pe lachkegi
har tara hira sa lagega mujh ko mere kangan ka
tum aao to ghar ke sare dip jala dun lekin aaj
mera jalta dil hi akela dip hai mere aangan ka
(811) Peoples Rate This