Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_743dcbd048f33b87f0fb8d460231cd5f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhe Kahan Mere Andar Se Wo Nikalega - Aziz Bano Darab Wafa Poetry In English - Darsaal

Mujhe Kahan Mere Andar Se Wo Nikalega

mujhe kahan mere andar se wo nikalega

parai aag mein koi na hath Dalega

wo aadmi bhi kisi roz apni KHalwat mein

mujhe na pa ke koi aaina nikalega

wo sabz Dal ka panchhi main ek KHushk daraKHt

zara si der mein wo apna rasta lega

main wo charagh hun jis ki ziya na phailegi

mere mizaj ka suraj mujhe chhupa lega

kuredta hai bahut rakh mere mazi ki

main chuk jaun to wo ungliyan jala lega

wo ek thaka hua rahi main ek band sarae

pahunch bhi jaega mujh tak to mujh se kya lega

(760) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Kahan Mere Andar Se Wo Nikalega In English By Famous Poet Aziz Bano Darab Wafa. Mujhe Kahan Mere Andar Se Wo Nikalega is written by Aziz Bano Darab Wafa. Read famous Poem Mujhe Kahan Mere Andar Se Wo Nikalega for youth and Student by Aziz Bano Darab Wafa. Free Download Mujhe Kahan Mere Andar Se Wo Nikalega in PDF.