Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d1abe905743ca68dfa6ce9dc8d8e0e13, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mere Mizaj Ko Suraj Se JoDta Kyun Hai - Aziz Bano Darab Wafa Poetry In English - Darsaal

Mere Mizaj Ko Suraj Se JoDta Kyun Hai

mere mizaj ko suraj se joDta kyun hai

main dhup hun mujhe nahaq sikoDta kyun hai

agar ye sach hai ki tu mera KHwab hai to bata

ki aankh lagte hi mujh ko jhinjhoDta kyun hai

udhar bhi tu hai idhar bhi jo sirf tu hi hai

to phir ye bich ki diwar toDta kyun hai

main tere wade ko jab aansuon se dhoti hun

har ek lafz tera rang chhoDta kyun hai

magar ye dil hai ki kya jaane teri baaton se

tarah tarah ke bahane nichoDta kyun hai

(811) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Mizaj Ko Suraj Se JoDta Kyun Hai In English By Famous Poet Aziz Bano Darab Wafa. Mere Mizaj Ko Suraj Se JoDta Kyun Hai is written by Aziz Bano Darab Wafa. Read famous Poem Mere Mizaj Ko Suraj Se JoDta Kyun Hai for youth and Student by Aziz Bano Darab Wafa. Free Download Mere Mizaj Ko Suraj Se JoDta Kyun Hai in PDF.