Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_df885016f3826b57b10d277720fff5ec, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mera Bhi Har Ang Tha Bahra Us Ka Jism Bhi Gunga Tha - Aziz Bano Darab Wafa Poetry In English - Darsaal

Mera Bhi Har Ang Tha Bahra Us Ka Jism Bhi Gunga Tha

mera bhi har ang tha bahra us ka jism bhi gunga tha

warna aapas mein kahne-sunne ko jaane kya kya tha

mere andar se jo mujh mein dip jalane nikla tha

jaane kitni bar wo apne hi sae se uljha tha

is ghar ke chappe chappe par chhap hai rahne wale ki

mere jism mein mujh se pahle shayad koi rahta tha

koi pyasa mil jae to phir lahren le sakta hun

ab main gham se sukh gaya hun pahle main bhi dariya tha

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera Bhi Har Ang Tha Bahra Us Ka Jism Bhi Gunga Tha In English By Famous Poet Aziz Bano Darab Wafa. Mera Bhi Har Ang Tha Bahra Us Ka Jism Bhi Gunga Tha is written by Aziz Bano Darab Wafa. Read famous Poem Mera Bhi Har Ang Tha Bahra Us Ka Jism Bhi Gunga Tha for youth and Student by Aziz Bano Darab Wafa. Free Download Mera Bhi Har Ang Tha Bahra Us Ka Jism Bhi Gunga Tha in PDF.