Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f7125c1a846f73281903b6e701627811, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
HaTa Ke Mez Se Ek Roz Aaina Maine - Aziz Bano Darab Wafa Poetry In English - Darsaal

HaTa Ke Mez Se Ek Roz Aaina Maine

haTa ke mez se ek roz aaina main ne

phir apne-ap se rakkha na wasta main ne

jab apne-ap se pahchan apni kho ke mili

to KHud hi kaT diya apna rasta main ne

main kam-sini mein bhi guDiya kabhi nahin kheli

palon mein tai kiya barson ka fasla main ne

charagh hun mujhe jab dhup ras aa na saki

to KHud sikoD liya apna daera main ne

main apne aap mein hun ya nahin, kabhi apna

kisi ko Thik bataya nahin pata main ne

ajib kya jo bikhera nahin sameT ke phir

tamam umr umidon ka silsila main ne

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

HaTa Ke Mez Se Ek Roz Aaina Maine In English By Famous Poet Aziz Bano Darab Wafa. HaTa Ke Mez Se Ek Roz Aaina Maine is written by Aziz Bano Darab Wafa. Read famous Poem HaTa Ke Mez Se Ek Roz Aaina Maine for youth and Student by Aziz Bano Darab Wafa. Free Download HaTa Ke Mez Se Ek Roz Aaina Maine in PDF.