Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_99b9b79ce373cfffa994f9013bdaad10, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Diye Ne Sadiyon Kya Kya Dekha Hai Batlae Kaun - Aziz Bano Darab Wafa Poetry In English - Darsaal

Ek Diye Ne Sadiyon Kya Kya Dekha Hai Batlae Kaun

ek diye ne sadiyon kya kya dekha hai batlae kaun

chhoDo agle waqton ke qisse phir se dohrae kaun

ab bhi khaDi hai soch mein Dubi ujyalon ka dan liye

aaj bhi rekha par hai rawan sita ko samjhae kaun

apna apna aasan chhoD ke har murat uTh aai hai

sone ki diwaron mein rah kar pathar kahlae kaun

jis ne diye ki kalak ko bhi mathe ka sindur kiya

apne ghar ki us diwar se apna bhed chhupae kaun

jaane kitne raaz khulen jis din chehron ki rakh dhule

lekin sadhu-santon ko dukh de kar pap kamae kaun

ek naya sapna banta hai aur ban kar is soch mein hai

sadiyon se aapas mein uljhe dhagon ko suljhae kaun

ab bhi buzurgon ki baaten sun kar achchha to lagta hai

par in girti diwaron se apni piTh lagae kaun

(950) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Diye Ne Sadiyon Kya Kya Dekha Hai Batlae Kaun In English By Famous Poet Aziz Bano Darab Wafa. Ek Diye Ne Sadiyon Kya Kya Dekha Hai Batlae Kaun is written by Aziz Bano Darab Wafa. Read famous Poem Ek Diye Ne Sadiyon Kya Kya Dekha Hai Batlae Kaun for youth and Student by Aziz Bano Darab Wafa. Free Download Ek Diye Ne Sadiyon Kya Kya Dekha Hai Batlae Kaun in PDF.