Kuchh Zindagi Mein Ishq-o-wafa Ka Hunar Bhi Rakh
kuchh zindagi mein ishq-o-wafa ka hunar bhi rakh
rishta KHushi se joD gham-e-mo'tabar mein rakh
shahron mein zindagi ka safar ab muhaal hai
behtar to ye hai sahra pe apni nazar bhi rakh
duniya ke hadsat se bhi rakh tu wasta
haalat ghar ke kaise hain is ki KHabar bhi rakh
talwar hi se fath to milti nahin kabhi
nadan pahle apni hatheli pe sar bhi rakh
ummid us ke rahm-o-karam ki bhi rakh zarur
daman ko apne ashk-e-nadamat se tar bhi rakh
gar zindagi mein chahta hai sar-bulandiyan
pahle kisi faqir ke qadmon pe sar bhi rakh
gar aarzu hai tujh ko mile manzil-e-hayat
is aarzu mein KHud ko to mahw-e-safar bhi rakh
is dilkashi mein chand ki KHud ko na bhul ja
apni nazar mein jalwa-e-shaqqul-qamar bhi rakh
shahon ke dar pe jaane se main rokta nahin
lekin tu KHanqahon mein apna guzar bhi rakh
danon ke waste tu zamin par bhi aa 'aziz'
har-chand aasmanon pe tu apna ghar bhi rakh
(1090) Peoples Rate This