Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1e0405c580835279a1bfe9a27ae8d56d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Duniya Ke Janjal Na Puchh - Aziz Ansari Poetry In English - Darsaal

Duniya Ke Janjal Na Puchh

duniya ke janjal na puchh

tujh bin mera haal na puchh

kis ne liya sar aankhon par

kis ne kiya pamal na puchh

us ki aankhon ko tu paDh

kyun hai chehra lal na puchh

bikhar gaya reza reza

jiwan ka bhaunchaal na puchh

mustaqbil ke sapne dekh

bite mah-o-sal na puchh

tu jo chahe hukm suna

mujh se mere aamal na puchh

'mir' ke ghar ki haalat dekh

mere ghar ka haal na puchh

jis ne bachaya KHanjar se

kis ki thi wo Dhaal na puchh

kaise den bachchon ko 'aziz'

sabzi roTi dal na puchh

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Ke Janjal Na Puchh In English By Famous Poet Aziz Ansari. Duniya Ke Janjal Na Puchh is written by Aziz Ansari. Read famous Poem Duniya Ke Janjal Na Puchh for youth and Student by Aziz Ansari. Free Download Duniya Ke Janjal Na Puchh in PDF.