Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5625795b58bec5128d4d720115ef8f31, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zauq-e-amal Ke Samne Duri SimaT Gai - Aziz Ahmad Khan Shafaq Poetry In English - Darsaal

Zauq-e-amal Ke Samne Duri SimaT Gai

zauq-e-amal ke samne duri simaT gai

darwaza hum ne khola to diwar haT gai

beTe ko apne dekh ke ek bap ne kaha

tum ho gae jawan magar umr ghaT gai

pahle to KHud ko dekh ke hairat-zada hui

chiDiya phir aaine se lapak kar chimaT gai

patwar bhi uThane ki mohlat na mil saki

aisi chali hawaen ki kashti ulaT gai

naraaz ho gaya hai KHuda sab se ai 'shafaq'

duniya tamam pyar ke rishte se kaT gai

(722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zauq-e-amal Ke Samne Duri SimaT Gai In English By Famous Poet Aziz Ahmad Khan Shafaq. Zauq-e-amal Ke Samne Duri SimaT Gai is written by Aziz Ahmad Khan Shafaq. Read famous Poem Zauq-e-amal Ke Samne Duri SimaT Gai for youth and Student by Aziz Ahmad Khan Shafaq. Free Download Zauq-e-amal Ke Samne Duri SimaT Gai in PDF.