Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_99cf8701d5e1fa2679c67b81159440c4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Ek Fankar Ne Jo Kuchh Bhi Likkha KHub-tar Likkha - Aziz Ahmad Khan Shafaq Poetry In English - Darsaal

Har Ek Fankar Ne Jo Kuchh Bhi Likkha KHub-tar Likkha

har ek fankar ne jo kuchh bhi likkha KHub-tar likkha

hawa ne paniyon par paniyon ne ret par likkha

daraKHshan kitne lamhe kar gaya ek barg-e-jaan-rafta

shajar se gir ke us ne daeron mein kis qadar likkha

subuk se rang halke daere ubhre hue shoshe

kisi ne kitni fankari se is ke jism par likkha

main hun zulmat-guzin ye khel hai taqdir ka warna

siyahi se bhi main ne raushni ke nam par likkha

shafaq ka rang kitne walehana-pan se bikhra hai

zamin o aasman ne mil ke unwan-e-sahar likkha

(669) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Fankar Ne Jo Kuchh Bhi Likkha KHub-tar Likkha In English By Famous Poet Aziz Ahmad Khan Shafaq. Har Ek Fankar Ne Jo Kuchh Bhi Likkha KHub-tar Likkha is written by Aziz Ahmad Khan Shafaq. Read famous Poem Har Ek Fankar Ne Jo Kuchh Bhi Likkha KHub-tar Likkha for youth and Student by Aziz Ahmad Khan Shafaq. Free Download Har Ek Fankar Ne Jo Kuchh Bhi Likkha KHub-tar Likkha in PDF.