Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7e5ffdf6a769c838ddd65e197e6a8009, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sukun-e-dil Gaya Nazron Se Sab Qatare Gae - Azim Haidar Syed Poetry In English - Darsaal

Sukun-e-dil Gaya Nazron Se Sab Qatare Gae

sukun-e-dil gaya nazron se sab qatare gae

chaman mein khilte hue jab se phul mare gae

hawa-e-maut zara der kya idhar aai

ki mere hath se uD kar mere ghubare gae

ye kaisi karbala barpa hui peshawar mein

lahu mein Dube hue mere bachche mare gae

unhen hi martaba milta hai ja ke jannat mein

husul-e-ilm ki KHatir jo jaan ware gae

chaman ujaDne walo tumhein KHuda samjhe

tumhein na aai haya phul to hamare gae

rahega yaad hamein aane wali naslon tak

wo naqsh-e-pa jo yahan KHun se ubhaare gae

salam mera 'azim' un shahid bachchon ko

jo apni jit ki KHatir bhi jaan haare gae

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sukun-e-dil Gaya Nazron Se Sab Qatare Gae In English By Famous Poet Azim Haidar Syed. Sukun-e-dil Gaya Nazron Se Sab Qatare Gae is written by Azim Haidar Syed. Read famous Poem Sukun-e-dil Gaya Nazron Se Sab Qatare Gae for youth and Student by Azim Haidar Syed. Free Download Sukun-e-dil Gaya Nazron Se Sab Qatare Gae in PDF.