Kaun Wan Jubba-o-dastar Mein Aa Sakta Hai
kaun wan jubba-o-dastar mein aa sakta hai
ghar ka ghar hi jahan bazar mein aa sakta hai
kis liye KHud ko samajhta hai wo patthar ki lakir
us ka inkar bhi iqrar mein aa sakta hai
mujh ko malum hai dariyaon ka kaf hai tujh mein
tu mere mauja-e-pindar mein aa sakta hai
ai hawa ki tarah aThkheliyan karne wale
bal kabhi waqt ki raftar mein aa sakta hai
sar pe suraj hai to phir chhanw se mahzuz na ho
dhup ka rang bhi diwar mein aa sakta hai
ye jo main apne tain shaeri karta hun 'azim'
kya taKHayyul mera izhaar mein aa sakta hai
(725) Peoples Rate This