Maal-e-dosti Kahiye Hadis-e-mah-washan Kahiye
maal-e-dosti kahiye hadis-e-mah-washan kahiye
mile dil se zara fursat to dil ki dastan kahiye
magar is KHamushi se ahl-e-dil ka kuchh bharam to hai
jo kuchh kahiye to sari umr ki mahrumiyan kahiye
gham-e-dil awwalin daur-e-tamanna ki amanat hai
nawed-e-aish agar suniye nasib-e-dushmanan kahiye
jo rakh le KHastagi ki sharm aisi barq rahmat hai
gire jo aashiyan se dur us ko be-aman kahiye
hamara kya hai naseh hum use na-mehrban kah den
par aisa bhi to ho koi ki jis ko mehrban kahiye
kisi se bhi na kahiye haal-e-dil be-mehr duniya mein
yahan sab kuchh ba-andaz-e-hadis-e-digaran kahiye
bas ab uThiye ki nang-e-pursish-e-beja qayamat hai
kahan tak ek ek be-nam se nam-o-nishan kahiye
(806) Peoples Rate This