Sukut-e-shab
faza-e-zist pe chhai hai kaisi KHamoshi
na koi shor na shewan na girya-o-zari
na koi shikwa-ba-lab hai na koi fariyaadi
na koi dard ka qissa na koi zikr-e-alam
na siskiyon ka koi irtiash zholida
na dud-e-ah-o-fughan ki koi giranbari
na koi harf-e-alam hai na istiara-e-gham
na koi qatra-e-KHun hai siyahi-e-qirtas
sitam-kashon pe hai tari ajib aalam-e-yas
nahin hain aish ke naghme to gham ke git sahi
kisi ke halqa-e-zanjir hi ke saz bajen
kisi ka zaKHm-e-jigar hi chaTak ke de aawaz
kahin se dil ke dhaDakne hi ki sada aae
rafiqo kuchh to karo arz-e-haal ka saman
kisi tarah to koi dil-figar le phuTe
kisi tarah to fusun-e-sukut-e-shab TuTe
(1306) Peoples Rate This