Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c97a4a352a1f88b0a986cf58247ca95f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Milte Julte Hain Yahan Log Zarurat Ke Liye - Azhar Nawaz Poetry In English - Darsaal

Milte Julte Hain Yahan Log Zarurat Ke Liye

milte julte hain yahan log zarurat ke liye

hum tere shahr mein aae hain mohabbat ke liye

wo bhi aaKHir teri tarif mein hi KHarch hua

main ne jo waqt nikala tha shikayat ke liye

main sitara hun magar tez nahin chamkunga

dekhne wale ki aankhon ki suhulat ke liye

sar jhukae hue KHamosh jo tum baiThe ho

itna kafi hai mere dost nadamat ke liye

wo bhi din aae ki dahliz pe aa kar 'azhar'

panw rukte hain mere teri ijazat ke liye

(2283) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Milte Julte Hain Yahan Log Zarurat Ke Liye In English By Famous Poet Azhar Nawaz. Milte Julte Hain Yahan Log Zarurat Ke Liye is written by Azhar Nawaz. Read famous Poem Milte Julte Hain Yahan Log Zarurat Ke Liye for youth and Student by Azhar Nawaz. Free Download Milte Julte Hain Yahan Log Zarurat Ke Liye in PDF.